Poetry, Fun and News Informative

Funny Faraz SMS

Mairy pairon us waqt se zameen nikal gayi "Faraz"
Jab us nay kaha
.
I love you Jaan
.
.
Wala msg
Galti se apko send ho gia tha
Sorry Bhai Jaan

Tuj ko kis phool ki nishani don "Faraz"
.
.
Tu juda esay musam mai howa, jab darakhton ke haath khali tay

Yun hi mazak mazak mai hum ganjay hogaye "Faraz"
.
.
Na jany kon hamary shampoo mai Veet Cream dalta raha

Hamari Mohabbat ka mazak na Urawo "Sheraz"
.
.
Hairan mat ho I am chota brother of Faraz

Mujhe aaj bhi uske pyar ki shidat ronay nahi deti "Faraz"
.
.
Wo kahta tha mai mar jawonga tumharey anson girny se pahly

Faqat eslie hum ne mehfilon mai jana chor dia "Faraz"
.
.
Ke koi poch na le "tere result ka kia bana?"

Beqarari mairi dekhli hai tu ab maira zabt bhi dekh lena "Faraz"
.
.
Itna Khamosh rahonga ky cheekh uthay ga wo bhi

Mai khuda ki nazaron mai bhi guhahgar hota hon "Faraz"
.
.
Ke jab sajdon mai bhi wo shakhs mujh yaad ata hai

Maira us shehre adawat mai basera hai "Faraz"
.
.
Jahan Cheeni tu nai melti lekin Chars mel jati hai

Us waqt maira sar fakhar say bhuland hogia "Faraz"
.
.
Jab mairi Dadi bathroom mai girien owr dil par hath rakh kar boli
"All is well"

Us waqt Meri halat dekh kar tu asman bhi roya hoga "Faraz"
.
.
Jab larkiyon ke numbers se bhari howi SIM gum hogayi

Aik hi kamba mai ghuss gaye Muhsin owr Fayaz
.
.
Kionky pankha full speed se chala ke bhaag gia Faraz

Lazim sa mujh pe hogai Pawon ko choomna "Faraz"
.
.
Us ne kaha jo mujh se kanta nikaal do

Wo mohabbaton ky sowday bhi ajeeb karta hai "Faraz"
.
.
Bus muskurata hai owr dil khareed laita hai

Boht udaas tha manzar chiraag bujhny ka "Faraz"
.
.
Lipat ky ro dia mai bhi hawa ky jhonkay sai

Mairi ankhon ka tairi yadon se koi taaluq tu hai "Faraz"
.
.
Tassawur mai jab bhi atay ho mairi ankhain bheeg jati hain

Yai soch kar hum ne Exam ke dino mai Bachi phansayi "Faraz"
.
.
Ke har kamyaad aadmi ke peche ek aurat ka haath hota hai

Shadiyan Unki bhi hogayin jin ka na tha Aqal-o-shuoor "Faraz"
.
.
Apna tu yai saal bhi guzar gia Zikr-e-Nikaah karty karty

Jis Kashti ky muqadar mai ho doob jana "Faraz"
.
.
Tofan sai bach bhi niklay tu kinarey root jatey hain

Kitna roya tha mai usko call karky "Faraz"
.
.
Jab suna "apka matloba number dosri line par masroof hai"

Wo aaj maira naam tak bhool gayi "Faraz"
.
.
Jo kahti thi "kundi na karhka, seedha andar aa"

Hum tu England mai chanda jama kar rahy thay "Faraz"
.
.
Unhon ne Match Fixing ka ilzaam laga dia

Yai kah kar India ne Pakistan ka pani khol dia "Faraz"
.
.
Ke hum Larki ke susraal ka pani nai pia karte

Mairi doston ki pehchan itni mushkil nahi "Faraz"
.
.
Wo sab say agay hotay hain jahan chawal taqseem hotay hain

Mairi pairon talay zameen nikal gayi "Faraz"
.
.
Jab Girl Friend ne kaha "Rs. 50 ka load tu karwa do"

Wo roz roz kahti ke mujhe apni tasweer MMS kardo
.
.
Koi Ja ke unse kah day mera pas simple Nokia 1202 set hai

Us ne apny Birthday par ye kah kar pareshan kardi "Faraz"
.
.
Koi Gift na lana bas 1 kilo cheeni kahen se leke lana

Hum ne apne lie Ambulance ka bandobast kar lia "Faraz"
.
.
Suna hai B.A ka result any wala hia

Us kahna ke aj mai boht khush hon "Faraz"
.
.
Pichli Sardiyon ki Jacket Nikali tu jaib se 100 rupey neklay

En sardiyon mai romance acha nahi "Faraz"
.
.
Geezar tera kharab hai kuch tu khayal kar